Charnam Sharnam Gacchami…Mai Megha Joshi Indrapuram se mai apna ek experience share karna chahati hu. Mere husband mohit joshi ko 2 week phele covid hogya tha wo Belgaum me rhete hai shuru me unki Rt PCR report negative aayi or unko fever tha jiske lie unhone medicine near by clinic se le li..humko nhi pta tha unko covid hai.. 3-4 din me unki problem or badh gyi..mai bhut ghabrayi hui thi maine Bharti Maa ko call kia or unko puri situation btayi hum us time usi clinic me the and number aane ka wait kar rhe the. Bharti Maa ne hume papr kraya ki inko jo bhi problems ho wo sahi se detect ho and unko sahi treatment mile.. saath me kha ki ek second opinion jarur lo..Ye city mere lie ek dum unknown thi par Paramji ki shakti humare saath thi.. or maine turant inko acche hospital me le jaane ka decision lia..jha ja k inke saare test hue and covid detect hua doctor ne inko jaldi se admit karne k lie kha..Ye 8 din hospital me the Bharti Maa ne hume daily papr kraya and mere husband ne dawai, khana, paani sab Paramji ko arpan kar k khaya.. or P3Y kia ki unko sahi treatment mile…and ab wo discharge hogye hai and Paramji and Bharti Maa ki kripa se recover ho rhe hai..P3Y me bhut shakti hai isse huamara manobal badhta hai, positivity aati hai, And hum sahi time pe sahi decision le paate. Is mushkil time me bharti maa ne humko P3Y kraya or humko positive rakha.. iske lie mai Bharti Maa ko bhut bhut dhanyavad karti hu…humko pura vishvas tha ki Paramji se bol dia hai ab wo inko bilkul swasth kar denge..Mere aur mere pure parivar ki or se Bharti Maa aur Paramji ka thank you thank you thank you…Paramji apna aisa hi ashirwad mujh par and mere parivar par bnaye rakhe…Charnam Sharnam Gachhami…
May 4, 2021